Ek Chhupi Hui Kasak

Din guzarte hain, jaise raaste ghis jaate hon
Har mod par wahi purani khamoshi,
Aur hum, be-naam safar ke musafir

Zindagi palat kar kabhi dekh’ti nahin,
Jo kho gaya, woh bas hawa ki dhool ban jaata hai
Na roshni rok paati hai, na dua

Boondh gir kar mitti mein ghul jaati hai,
Nadiyaa samundar tak laut’ti hain,
Magar insaan ka raasta ek hi simt mein likha hai

Waqt, ek be-reham darindaa,
Jo yaadon ko chaba kar khaali kar deta hai
Aur hum apne saaye ke saath
Ek anjaan shaam ki taraf kheench’te chale jaate hain

Sapne adhoore, mohabbat aadhi,
Batein adhuri reh jaati hain.
Aur dil ke kisi kone mein bas jaam jaati hai
Ek chhupi hui kasak